Very Sad story of a aged Mother in Hindi

9
46986

crying mother, mother

This is a real sad story of a aged mother in Hindi. Story goes like this

BETA: Hello. Maa mein tumhara beta bol raha hu. “Kaisi ho maa?”

MAA: MEIN ….. MEIN …. Thik hu beta….. yeh batao tum aur bahu dono kaisay ho?

BETA: Hum dono thik hai… Maa aap ki bahut yaad aati hai?… Acha suno maa, mein aglay mahinay INDIA aa raha hu….. tumhay lenay.

MAA: Kya?

BETA: Han maa… ab hum sab sath mein rahay gai…. Tumhari bahu keh rahi thi.. MAA ko America le aao, waha akeli bahut pareshaan ho rahi hogi.
hello…. Sun rahi ho na maa….?

MAA: Han.. han betay…

“MAA KI AAKHON SE AASUN BEHNAY LAGAI…. BETAY AUR BAHU KA PYAR NAS NAS MEIN DODNAY LAGA”

“Puray  5 saal baad ghar aanay wala tha”

beta akelay aaya tha…
BETA: maa humay jaldi hi wapis jaana hai. Esliye jo bhi paisa kisi se lena hai wo lekar rakh lo. Aur tab tak mein kisi PROPERTY DEALER se makan(ghar) ki baat karta hu.

MAA: makan….???

BETA: ha maa, ab yeh makan bechna padega.. warna kaun e ski dekh bhal karega. Hum sab toh ab AMERICA mein rahay gai.
“Betay ne kam paison mein hi makan  ko bech diya.”

At the airport
BETA: Maa tum yaha betho mein andar jaakar saman ko check aur boarding aur visa ka kaam nipta kar aata hu.

MAA: thik hai betay…

“KAAFI SAMAY BEET GAYA.”

AIRPORT KARAMCHATI: ”maaji… kis se milna hai.”

MAA: mera beta andar ticket lenay gaya hai. Hum aaj America ja rahay hai.

AIRPORT KARAMCHATI: lekin andar toh koi bhi nahi hai, America jaanay wali sabhi flights dopahar mein hi chali gayi.

“Karamchari andar gaya aur kuch der baad  bahar aa kar bola”

KARAMCHARI: Maaji aapka beta toh America  janay wali flight se kab  ka jaa chukka hai.

“BHUDI MAA KI AAKHON SE AANSOO AA GAYE”

kisi taran wo wapis ghar pahuchi, jo ki ab bik chukka tha. Raat mein wo ghar k bahar ek road k footpath par hi so gayi. Subah hui toh ek dayalu makan malik ne ek karma rehnay ko de diya.

Pati ki pensionse ghar ka kiraya aur khanay ka kaam chalnay laga.
samay gujarnay laga.

Ek din

MAKAN MALIK: Maaji … kyu nahi aap apnay kisi rishteydar k yaha chali jaaye. ab aap ki umar bahut ho chuki hai. akeli kab tak reh paogi.

MAA: han, chali toh jaau , lekin kal ko mera beta aaya toh…? Yaha fir kaun uska khyal kaun rakhega?

ETNA KEH KAR USKI AAKHON SE AANSOO AANAY LAGAY.

I hope that you like this sad story of a mother. I only want to request you please don’t hurt your mother. She is the only one who cares for you the most

 

9 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here