19.6 C
New York
Thursday, September 12, 2024

Buy now

Hindi love poem in English- Ek Chehra

This Hindi love poem written by Santosh, who fall in love and failed to achieve his lover, when he was in the 1st year of B.Com.

In her remembrance he wrote this beautiful sad hindi love poem or kavita.

Humnay unhay dekha toh aisa laga, maano dil ne hamarai humsay kiya Daga,

Tohba kya noor hai, roshan chehray pe, maano chandni bhari ho khuda ne esmai,

Mohabbat u dil mein hamaray paida hui, suno ab dil laganay ki khata jo humsay hui,

Mann karay sapna ban k teri neend mein aa jaau, aur zindagi ka yeh falsafa tumko mein padau,

Dil ka chain ho tum, aur dard-e-dil bhi ho tum,

Meri neend ka sapna aur darpan mein chupa chehra ho tum,

Dard-e-dil aur dard ki dava ho tum, bas aur kya zindagi ki har jaroorat ho tum,

Khuda ne husan diya hai toh nazaqt toh hogi, par dil yeh sochay kya dillagi unko bhi humsay hogi?

Kyuki gustakh toh wo nahi jo dil laganay ki khta kartay hai,

Gustakh toh wo hai, jo dil laga kar bhi khta kartay hai,

Dard-e-dil etna hai jo bayan nahi hota, aur jo shabdon mein bayan ho wo pyar nahi hota.

Es dunia mein aakar humnay pyar kamaya hai, par us preetam ko kho chukay jisnay pyar karna sikhaya hai,

Fikar nahi humay dunia ki enka toh kaam hai yahi, enko kya pata kya galat hai kya sahi,

Etni samaj enko agar pyar ki hoti, toh es dunia se wafa kabhi kam nahi hoti,

Yeh takdir hai humari ki humay dillagi mili, preetam toh nahi par uski yaad toh saath chali,

Fikar wo karay joy eh janam khokar gaye, humay toh sab khokar bhi sab pa gaye.

Shukar hai allah ka jisnay yeh arman pura kiya, tanhai hi sahi par pyar ka ehsaas karaya,

Bas ab kalam nahi maano shamshir chalein, meray armano ki garden hai jiski dhar talay,

Es dillagi ki aag mein na jaanay kitnay dil jalay, par tu na es mein jalna dil jalay huai, par tu na es mein jalna e dil jalay huay.

Hope you like Santosh’s poem. If you want to share your love story, poem or kavita, shayari and thoughts then send on karamjeet786sandhu@gmail.com. Your name will be shown or hidden as you want.

Vanya
Vanya
A Blogger, speaker, and Chef! Vanya has done MBA from London Business School. Working in the Corporate industry since 2017. Vanya love to travel and try new cuisine.

Related Articles

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Stay Connected

0FansLike
3,912FollowersFollow
13,361SubscribersSubscribe
- Advertisement -

Latest Articles